Kuch kehti hai yeh baarishein ,
Kuch kehti hai yeh waadiyaan..
Kya waadiyon ki ye fiza,
Kyun baarishon ki ye saza..
Ye Baarishein kuch yun sab sang le chali hain,
In Waadiyon ko patton me bikher de chali hain..
Wo pattiyan bhi baarishon ke sang beh gayi ,
Dil ki baat, bas dil me hi reh gayi ...
Ye waadiyan kuch yun karwat badalti hain ,
Jaise saanjh ki dhoop khone ko hi tehelti hai...
Kuch yun hi baadalon se boondein pighalti hain...
In baarishon ko sagar ne panah di hai,
In waadiyon ne lehron ko wajah di hai ..
Ye sagar ki lehrein bewajah hi sab kuch keh gayi,
Par is dil ki baat... to dil me hi reh gayi ...
Ab chup si hain yeh baarishein ,
Hain tham gai ye waadiyaan...

simply awesome !! :)
ReplyDelete:):) so true
ReplyDelete